Paytm Wallet Ko Upgrade Karke Transaction Limit Kaise Badhaye
How Can Upgrade
Paytm Wallet For
Unlimited Transaction
Paytm wallet ki pehchan mobile recharge site se badhkar digital
banking tak pahunch chuki hai. Online store se lekar amazing cashback
offer tak ham iske jariye paa sakte hain. Indian government ki digital
banking or cashless ka idea Paytm apnakar bahut had tak finalized kiya
jaa sakta hai.
Isliye ham user jo paytm wallet se transaction ke baare me jaante hain
samajhte hai toh hame chahiye ki ham other people hamare relatives,
friends ko bhi iske fayde ke baare me bataye jisse woh bhi cashless
banking ki taraf kadam badha sake.
Maine apni pichhli post me Paytm ke baare me kafi kuchh bataya hai
agar aapne woh post nahi padhi to ab padh sakte hain.
- Paytm Kya Hai Or Paytm Wallet Kaise Use Kare
- Paytm Wallet Se Bank Account Me Paise Kaise Transfer Kare
- Bina Internet Ke Paytm Kaise Use Kare
- Paytm Ko Hacker Se Kaise Secure Kare
Jab ham paytm wallet banate hain toh normal wallet hota hai jisse
kuchh limit hoti hai jaise
- Daily 1,00,00 rs se jyaada ka transaction nahi kiya jaa sakta hai.
- Bank account me paisa transfer karne par 24 se 48 hours ka time lagta hai.
- Bank account me paise transfer karne par 4% ka charge lagta hai.
- Cashback ko credit hone me 24 hours lagte hain.
Lekin agar ham apne Paytm wallet ko upgrade kare toh hamari per day ki
limit 1,00,000 tak pahunch jaati hai or agar ham bank account me paise
transfer karte hain toh instantly credit ho jaate hain or charge bhi
1% lagta hai or cashback offer bhi jyaada milte hain or instantly
wallet me credit ho jaate hain.
Isliye hame Paytm ko upgrade karna chahiye jisse ham iski sabhi
facility or offer ka fayda utha sake.
Paytm Ko Upgrade Kaise Karte Hain
Paytm ko upgrade karne ke liye apne paytm wallet me login kare.
Login karne ke baad Your wallet par click kare
Request wallet upgrade par click kare.
Yahan par paytm ko upgrade karne ke 2 option milenge
1. Request a visit from our agent
Is option me aap paytm agent ko apne ghar bulakar apna Id dekar Paytm ko upgrade kar sakte hain.
yedi aap bhi apne ghar bulakar paytm upgrade karna chahte hain toh is option par click kare.
click karne ke baad ek form open hoga jisme apko apna address fill karke submit karna hai.
2. Visit nearest Paytm KYC centre
Is option me aap ko khud apna Id lekar Paytm KYC centre Jaana hoga. apna aadhar card, voter Id
Driving License, Passport lekar apne karib ke Paytm KYC centre jaaye.
Ye aasan process follow karke aap apna Paytm upgrade karke apni transaction limit badha sakte hain.
apko ye information kaise lagi mujhe jarur bataye. Is post se related koi bhi query ho toh mujhe
jarur bataye.
Paytm ki transaction karne ki limit 25000 puri ho jaye aur usko isi month me aur transfer karne ke liye kya kare? U have solition …my contact number 9173724392
paytm wallet ko upgrade kare limit badh jayegi
Paytm ko upgrade karne ke liye agar hum unhe ghar me bulayenge to koe charges to nahi lagega
nahi koi charge nahi lagega
Paytm ki limit kaise badye
Maine post me detail di hui hai aap follow kare limit badh jayegi
Mene kyc update krwate hi 100 rs bank me transfer kiye to mere 3% charze lga
2% charge hai
Paytm se bank account me money transfer kre 0% Charge pe to kya karna h
abhi paytm kam se kam 2% charge ley raha hai
Bhai Charge kese hatega
Wallet ko upgrade kare charge hat jayega
mujhe paytm ko marchant me karana hai jis se me paytm se bussnuss kar saku
ji haan paytm customer care par contact kar sakte ho
Mujhe kyc karne ke bad bhi limit 20000 hi rakhni h esa ho sakta h kya
Reply
Verified hone ke baad ye apki Marzi par hai ki aap daily kitna transaction karte hain
Aap ne kyc complete kar li h to batavo mujhe pahle limit 20000 par month thi usse jyada nahi aate the kya kyc ke bad ye ho sakta h kya
Yes kyc complete karne ke baad aap jyaada transaction kar sakte hain.
Dear sir
Maine Apna paytm kyc karva Chuka hu for bhi 25000 Tak use kar pa raha hu . please help me
Aapka KYC verified nahi hua hoga aap status check kare
Me chhattisgarh raipur kanker se hu
mere ko pytem Kyc karvana hai
kripiya kanker me Kyc link karvane wale ka naam btye
Agar aap nahi jaante hain ki paytm centre aapki city me kahan hai toh aap paytm me login kare or contact us par click karke information send kare
Wallet se one month me kitna transaction kar sakte hai
Agar aap upgrade karte hain toh unlimited transaction kar sakte hain waise per day 20000 thousand hai