without Pc ke android phone ko root kaise kare
Android phone ko root kaise kare without PC
Android phone ko root karna bahut easy process hain, lekin iske liye
hame PC ki help leni padti hai jo ki sabhi android user ke pass nahi
hota hai to fir sawal ye banta hai ki bina PC ya Laptop ke android
phone ko root kaise kare.
Is post me ham yehi sikhenge ki bina Pc ke android phone ko root kaise
kare. Lekin usse pehle ye jaanna jaruri hai ki phone ko root kyon
karte hain or iske kya fayde hain.
also read Kya aap jaante hain Android phone ke ye secret code
Android phone ka lock screen password kaise unlock kare
Phone root kya hai ?
Android ek open source operating system hai jis par ham full access
nahi kar sakte hain saral lafzon me kaha jaay to bina root kiye
android phone par hamara full control nahi hota hai. Phone ko root
karna ek aisy process hai jise karne ke baad limitation khatm ho jaati
hai or android phone par hamara full control ho jaata hai.
But me aapko suggest karunga ki rooting karne se pehle phone ko root
karne se hone wale fayde or nuksan ke baare me ham jaan ley.
Phone ke root karne se kya fayde hain ?
- Phone ko root karne ka sabse bada fayda ye hai ki jab bhi ham koi
android phone lete hain to usey apne according customize karne ki
limit hoti hai jaise ki pehle se android phone me install apps ko ham
remove nahi kar sakte hain but phone ko root karne ke baad ham apps ko
remove bhi kar sakte hain kyonki rooting ke baad ham phone ki root
yani (jad) tak pahunch jaate hain. - Phone par full control hone se ham internal memory ko free kar sakte
hain root karne ke baad ham internal phone storage ko memory card par
transfer kar sakte hain. - Phone ko root karne se ham phone ko latest android operating system se
update kar sakte hain or saath hi phone ki processing speed bhi badha
sakte hain.
also read Android par free recharge kaise kare
Paytm par wallet kaise banaye or use kare
Android phone ko root karne ke nuksaan
- Adhiktar badi company phone ko root karna allow nahi karti hai jisse
ki phone ko root karne ke baad phone ki warranty khatm ho jaati hai
kyonki phone ko root karne se phone ka inbuilt security lock tut jaata
hai. - Phone ko root karne ka bada nuksan ye hai ki yedi phone ko root karne
ne jara bhi galti hui ya hamne koi currupt zip file download ki toh
hamara phone bekar ho jaayga jo kisi kaam ka nahi rahta hai.
Android phone ko without Pc ke kaise root kare
Phone ko root karne ki bahut si method available hain lekin me aapse
bilkul nayi method share karunga.
Root karne se pehle 3 kaam hai jo apko karne hain.
Apne phone me Framaroot application download kar ley.
Apni sabhi jaruri files, contact, media, music, photos, video ka
backup kar ley or memory card ko phone se nikal ley.
Phone ki battery kam se kam 50% charge kar ley jisse ki rooting ke
samay phone discharge na ho jaay.
Process steps for root android phone
#1.
Hamne apne phone me Framaroot application download kar li hai isliye
ham 2nd step ki taraf badhenge.
#2.
Apne android phone me APK install kare or framaroot open kare.
#3.
Boromir option par click kare or wait kare jab tak ki installed successully
na ho jaye.
apka phone root ho chuka hai.
also read Mobile par Internet Data ki bachat kaise kare
Laptop ki battery life kaise badhaye
Universal root se phone ko kaise root kare
#1.
Apne phone me Universal Androot Download kare
#2.
Download karne ke baad install karke open kare.
#3.
Root par click karke rooting process kare.
Ummid karta hun apko ye post padhkar android phone ko root karne me
help milegi
apne friends ki bhi help kare or friends ko share jarur kare.
So My Samsung Galaxy J7 Prime device has been losted .So l am sad…..
use device manager read this post http://qureshiinfotech.com/2017/02/how-can-use-android-device-manager/